Saturday 15 October 2016

Think Before Wasting

Hello everyone! Hope you’re doing good.
I just want to share a brief story with you today. I have heard it many times, and every time I listen it, I feel Goosebumps in my body.

Aik family thy bohat ghareeb, iss family mai 4 log thay. Husband, Wife, or un k 2 bachay, 1 larka or 1 larki. Bacho ki umar 4 se 6 saal thy. 4 saal ka larka tha or 6 saal ki larki thy. In k baap ki tabiyat kharab rehti thy to paisa kamaa (earn) ni saktay thay. Uper walay ka kuch aisa karna huwa k Husband ki death hogai. Ub uss family mai bachay 3 log. Maa, or us k 2 bachay. Jab husband ki death huwi to in k parosio (neighbors) ne mil k khana kiya, or in ki trf khana bheja.  Khana khaya subne or iss k baad 3,4 din guzar gye. In k halaat or zada kharab hotay rahay. Biwi ne bacho ka pait paalnay k lye kuch logo se udhaar maanga, ye udhaar akhir kab tak chalta. 4,5 din k baad wo paise bhi khatam hogye, kiun k insaan hain zrurat rehti hai pait ko. To in k bacho ko bhook lgnay lgi, ub Maa jahan se paise le skti thy wo le chuki thy lekin ub umeed ni thy k kahin se paise milain gy. Mayoos (hopeless) Maa or iss k 2 bachy ub is cheez ko le k pareshan thay k khana kahan se khaye gay. 1 din or nikal gya bhukay piyasay, lekin bachay thay bhook bardaasht na kr skay or bhookay hi sogye. Raat k takreeban 2:30 bje uss choti bachi ki ankh khuli or wo Maa k pas ai, iss bachi ne Maa ki trf dekha or ye kaha “k Maa, hmara bhai kab maray (die) ga?” To Maa ne kaha k tu esay ku kehri hai. To iss bachi ne kaha, Ku k jab Papa maray (died) thay to khana aya tha, Bhai maray ga to khana aye ga.

Itna bara gunah ni hai ye, lekin agar sochain kuch logo k lye ye khana bht zruri hota ha, Bht Zruri. So I request all of you, jo bhi ye parh rahay hain agli bar ap jb b kisi restaurant, hotel ya ksi ghar ki party mai kabhi khana bnaye/mangwaye, please itna hi lijea ga k jitna ap kha sktay hain or koshish kriye ga k bacha hwa khana unko dedain jo log is khanay se Ji sktay hain.

Bohat mumkin tha, bohat mumkin tha k signal p kharay hum, 10 rupay, sirf 10 rupay ki khatir, gari k sheshay saaf krne k lye agay barhtay or log hmai dhutkaar detay, or wo log hmari jga AC gari mai bethay pas se guzar jatay or hmai dekh k mu morr lia krtay. Or ye bhi bohat mumkin tha k aj BURGER KING, KFC, MCDONALDs khanay  walay hum logo ki jga, muhallay (area) k kachray se khanay ki ashia (item) uthanay walay hmari jaga hotay or hum kachray se kuch dhund rhay hotay. Ye b bht mumkin tha k aj her waqt sports gear, branded shopping or technology ki batain krne walay hum logo ki jaga Thalessemia, Hepatitis ya koi moozi beemari mai paray patients hotay or hum unki jga Hospital k us bed ya ward mai hotay or ksi madad ki umeed lgaye hotay. Ku k, 1 achi family, achy ghar or achi sehat mai peda honay ka ikhtiyar na hmare pas tha, or na 1 ghareeb family or chotay ghar mai peda honay ka ikhtiyar un k pass. Agar ALLAH ne hmai ye sb kuch dia iska matlab ha k ALLAH ne yakenan hum mai kuch dekha hoga k MAIN isko zda duga to ye mere bando ka khayal krega or unki madad krega.

I’ll close today’s motivation and inspiration part by this last saying:-

Kisi ko sadqa, kheraat ya uski madad krtay waqt ye na dekh k ye us ka haqdaar hai k ni, ku k Jo kuch ALLAH ne tmhain dia pta ni tum us k Haqdaar thay ya ni.

No comments:

Post a Comment